These songs have been on my favourite songs list for sometime now...
Movie: Raincoat
Singer - Female version: Shubha Mudgal / Gulzar (poetry)
Singer - Male version: Hariharan
Lyrics: Gulzar
Female Version:
============
(SM)
piya tora kaisa abhimaan
piya tora kaisa abhimaan
(Gulzar)
kisi mausam ka jhonka tha
jo is diwar par latki hui tasveer tirchi kar gaya hai
gaye sawaan mein ye dewarein yun sili nahin thi
najane is dafa kyon, inmein silan aa gayee hai
dararein pad gayi hain aur silan is tarah behti
hai jaise khush rukhsaaron ke geele aansoon jalte hain
(SM)
saghan sawan layee.. kadam bahar
mathura se doli laye.. charon kahar
nahin aaye...nahin aaye.....
kesariya balma hamar
angna bada sunsaan.
(Gulzar)
ye baarish gungunati thi.. isi chat ki munderon par
ye baarish gungunati thi.. isi chat ki munderon par
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par ungli se likh jaati thi sandese
ye likhti rehti hai baithi hui ab mund roshandanon ke neeche
(SM)
apne nayan se neer bahaye
apni jamuna khud aap hi banave
apne nayan se neer bahaye
apni jamuna khud aap hi banave
(Gulzar)
dopharein aaisi lagti hain..bina moharon ke khane rakhein hain
na koi khelne wala hai baazi.. aur na koi chal chalta hai
(SM)
lakh baar usmein hi nahaye..
pura na hoyee asnan..
phir pura na hoi asnan..
sukhe kes.. rukhe bhes.. manva bejaan..
(Gulzar)
na din hota hai ab na raat hoti hai
sabhi kuch ruk gaya hai
vo kya mausam ka jhonka tha
jo is deevar par tasveer tirchi kar gaya hai
(SM)
piya tora kaisa abhimaan..
tora.. piya toraa.. tora.. tora.. tora.. kaisa abhimaan
piya..tora..tora...tora..
Male Version:
==========
Piya tora kaisa abhimaan..
Piya toraaaa kaisa abhimaan..
Saghan saawan laayi, Kadam bahaar,
Mathura se doli laaye, chaaron kahaar
Nahi aaaye, Nahi aaaye
Kesariyaa balamaa hamaar
Angana badaa sun saan
Piya tora kaisa abhimaan..
apne nayan se neer bahaye
apni jamuna khud aap hi banave
apne nayan se neer bahaye
apni jamuna khud aap hi banave
lakh baar usmein hi nahaye
pura na hoyi asnaan
pura na hoyi asnaan
sukhe kes.. rukhe bes.. manva bejaan
piya tora..piya tora...piya tora..kaisa abhimaan
piya tora..kaisa abhimaan
bol sakhi kahe kari saajo singar
na pehinab abushana kaanch na haar
bol sakhi kahe kari saajo singar
na pehinab abushana kaanch na haar
khali chandan lagao angman humar
chandan garal samaan
piya tora..piya tora...kaisa abhimaan
piya tora..kaisa abhimaan
No comments:
Post a Comment